Thursday, October 18, 2012

Poetry……. Jab Tak Hain Jaan…… (Gulzar)

"Teri aankhon ki namkeen mastiyaan
teri hansi ki beparwaah gustakhiyaan
teri zulfon ki lehrati angdaiyaan
nahi bhoolunga main
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

tera haath se haath chhodna
tera saayon se rukh modna
tera palat ke phir na dekhna
nahin maaf karunga main,
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..

baarishon mein bedhadak tere naachne se
baat baat pe bewajah tere roothne se,
chhoti chhoti teri bachkani badmashiyon se,
mohabbat karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..

Tere jhoothe kasme vaadon se,
tere jalte sulagte khwabon se,
teri beraham duaon se,
nafrat karunga main,
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan.."